Wednesday, December 27, 2006

Talaash





Koi bula raha hai tumhe
apni taraf bahein failaye
tumhari tarf dekh raha hai


jiski sookhi aankhon mein pani nahi hai
paas ho kebhi tumse jo door hai
Yaad aa rahein hain woh beete huye pal
bas wapas aa jaye woh beeta hua kal
jab dooriyon ka naamonishan na thha
Rahoge tum saath tumne hi toh kaha thha
Koi bula raha hai tumhein apni taraf........


Likh gaye humari zindagi pe tum apne pyar ki syahi se
dikha gaye manzil jo door thhi is rahi se
raaston pe bhi humein bhej diya tumne
manzil hai mere paas par tum kahan gaye
Bemani manzil hai par rasta gazab thha
Mar jaane ka man ab se pehle kad thha
ab bhi yakin hai ke tum saath ho
kyonki tum toh ek ehsaas. bas ek ehsaas ho


Bas ek baat ab hum ko bata do
Us ke baad tum kuch bhi saza do
Manzil pe hum ko chod ke tum jo chale gaye
bas yeh bata do ab is manzil ka kya karein...............


Copyright 2006 Alok Sharma

1 comment:

Bhawna Gulati said...

Beautiful....and the last paragraph is amazing ....so deep and so true....

Cheers
Bhawna
(Got here travelling thru Sarva's blog)